replica watches
https://luxurywatch.io

replica watches uk

www.bestwatchreplica.co

http://www.rolex-replica.me/
discount replica watch

Ek khamosh lamha

Aur ek khamosh lamha sab kuch keh gaya,
Jo baatein itne saalon mein alfaazon se byan na ho saka,
Woh pedon ke niche hathon mein hath chalna,
Woh kaliyon ka muskurana, woh gulabon ki khushboo,
Woh sung gaaye geeton ki yaadein,
Woh subah ka ruthna aur shaam hone tak manana,
Ek dusre ki nigahon mein yun taktaki lagaye rahna,
Yun intezaar mein aankhein bichhaye rahna,
Jab ek pal ki bhi der mein sadiyan nikal jati thi,
Woh har pal mein ek nayi zindagi jeena,
Phir kuch yun badal gaya sab kuch,
Jaise mausam ne li ho ek nayi angadai,
Band ho gaye yun sanchar ke saare sadhan,
Na hansna hasana, na ruthna manana,
Grahan lag gaya ho maano chand mein,
Aur ek din anayas hi hum mil pade,
Unhi pedon ke bich,
Wahi muskurati kaliyan, wahi gulabon ki khushboo,
Badla tha toh bas yeh,
Ki uske hathon mein thi chudiyon ki chamak,
Aur aankhon mein neelam se bahte aansoo,
Lafzon mein kuch byan na ho saka,
Aur ek khamosh lamha sab kuch keh gaya.

Copyright © 2016, Aashish Barnwal,  All rights reserved.

Your email address will not be published. Required fields are marked *

*